Smile Lyrics – Umair & Talha Anjum | Punjabi Album Songs 2024

Smile Lyrics from Smile (2024) Hindi album, composed by Umair. Smile Lyrics penned by Talha Anjum and sung by Talha Anjum.

Smile Lyrics

Smile Song Credits:

Song: Smile
Singer(s): Talha Anjum
Music: Umair
Lyricist(s): Talha Anjum
Music Label: Umair

Smile Lyrics

Toh Chal Ab Muskura Dey
Ese Ro-kar Dil Halka Ho Ya Na Ho
Ab Kya Pata Hai
Zindagi Ko Gallay Se Lagalay

Ye Pal Beet Kar Nahi Ayenge Wapis
Humein Ye Pata Hai
Mushkil Hai Beshak Zindagi
Par Thora Sa Muskura Ley

Tu Mujhe Pareshan Si Lagay
Apnay He Ghar May Mehmaan Si Lagay
Parhoon Tujhe Tu Imtehaan Si Lagay
Kabhi Tu Itni Khush Kay Itmenaan Bhi Rahay

Tu Khuaab Dekhti Hai
Ab Kyu Tol Tol Kar
I Know Wo Tera Boy Hai
But He Fucks Around With Others

Aur Tu Thak Gai Hai Usse
Ye Sab Bol Bol Kar
Tu Paani Peeti Sharaabon Mein
Ghol Ghol Kar

Dekh Baarish Tu Khuda Ki
Qudrat Boond Boond Par
Zamana Dekh Ai Khushiyan
Dhoond Dhoond Kar

Tujhse Baat Karoon Janeman
Mein Kis Umoor Par
Tu Khud Hi Ek Mazmoon
Ek Fasana Ek Ghazal

Kitaabi Zameeni Mein
Rakhoon Choom Choom Kar
Tu Khuaab May Tou
Nazar May Nahi Dur Dur Tak

Jinko Hai Tu Mayassar
Unko Nahi Teri Qadar
Jinko Nahi Tu Mayassar
Wo Sirf Tere Muntazir

Par Dil Ko Tum Karna
Chhota Zara Bhi Nahi
Ye Meri Iltija Hai Mashwara He Nahi
Tujhe Lagta Hai Tujhe
Sab Pata Hai Meri Jaan
Tu Kitni Khoobsurat Tujhe
Ye Pata He Nahi

Tu Jo Chahay Karlay Tujhe
Rab Ne Di Wo Majaal
Tu Sarr Uthakay Saamna Kar
Uthein Jab Sawaal

Tujhme Hain Sab Jawab
Karde Sab Ko La-jawab Tu
Rab Ki Ek Takhleeq Tu
Rab Ka Hai Ek Kamaal Tu

Tou Chal Ab Muskura Dey
Ese Rou Kar Dil Halka Ho Ya Na Ho
Ab Kya Pata Hai
Zindagi Ko Gallay Se Lagalay

Ye Pal Beet Kar Nahi Ayenge Wapis
Humein Ye Pata Hai
Mushkil Hai Beshak Zindagi
Par Thora Sa Muskura Ley

Sach Batao Kia Tum Humein
Pehchaantay Ho
Dua’on Mein Khuda Se
Tum Kia Maangtay Ho

Kabhi Dafna Ke Aye Ho
Kisi Apnay Ko
Kya Mitti Daal Kar Tum Bhi
Haath Jhaartay Ho

Mein Kabhi Nahi Akela
But I’m Always Lonely
Mein Chala Hoon Talaash
May Yahan Sou Sou Meel

I Do This Rap Shit For
My Dead Homies
Yaad Rehgai Hain Baatein
Saari What They Told Me

Tou Meri Tarah Tu Bhi Qamar Bandh
Zindagi Ki Mushkil’ein
Khud Karni Hain Asaan
Aur Jo Abhi Hua Nahi
Uski Fiqar Kia Karein
Ye Aadatein Ajeeb Hain

Mein Ese He Tou Nahi Kehta
Na Insaan Bhi Kya Cheez Hai
Falak Hai Zameen Hai Beech Me Umeed Hai
Khuda Ki Madad Qareeb Hai
So You Just Have To Be Strong
And Baby We Will See Through This

Tou Chal Ab Muskura Dey
Ese Rou Kar Dil Halka Ho Ya Na Ho
Ab Kya Pata Hai
Zindagi Ko Gallay Se Lagalay

Ye Pal Beet Kar Nahi Ayenge Wapis
Humein Ye Pata Hai
Mushkil Hai Beshak Zindagi
Par Thora Sa Muskura Ley

Written By: Talha Anjum

Smile Music Video

Scroll to Top